ashutosh's name

ashutosh's name

भावनाओ कि निर्मम हत्या से उपजी विचारों की अनुपम अभिव्यक्ति से दुनिया को जो मुर्दा दिखा वही कविता है। सीने में तमाम तक़लीफ़ों की कबरगाह में से आज भी जैसे कोई प्रेतात्मा प्रश्न पूछ रही है कि तेरे ख्वाब कहाँ हैं, जो तूने देखे थे ? मैं कब्र देख कर फिर से हंस देता हूँ।

NAYA SABERA

Posted by ashutosh on July 3 2009, 15:24pm

Categories: #ghazals & shayari

Hum bhool gaye saari duniya
tera pyaar mila jab se mujhko
duniya begaani lagti hai
dildaar mila jab se mujhko

tere pyaar me paagal ban baithe
tanha tanha se firte hai
phoolon se mehekte hai hardam
gulzaar mila jab se mujhko

ye kaisi khusi kaisi raunak
hai bahaar chaman k raste pe
har baar teri chaahat dil ko
ek baar mila jab se mujhko

hai teri khusi se meri khusi
tere ashq se mere ashq bahe
meri jaan tere dil me hai basi
tera pyaar mila jab se mujhko
To be informed of the latest articles, subscribe:
Comment on this post
E
wow thats so nice...bahut hi sundar!!
Reply
A

aap ka tahe dil se ehetraam ki aap roz b roz hamari har nazm ko izzat bakhsi karte hain.

A
hi this poem is realy touching my heart
Reply
A

shukriya aamir ki aap jaise logo ki vajah se hame hausla milta hai.

Blog archives

We are social!

Recent posts